کشتی بھی نہیں بدلی دریا بھی نہیں بدلااور ڈوبنے والوں کا جذبہ بھی نہیں بدلا
تصویر نہیں بدلی شیشہ بھی نہیں بدلانظریں بھی سلامت ہیں چہرہ بھی نہیں بدلا
ہے شوق سفر ایسا اک عمر سے یاروں نےمنزل بھی نہیں پائی رستہ بھی نہیں بدلا
بے کار گیا بن میں سونا مرا صدیوں کااس شہر میں تو اب تک سکہ بھی نہیں بدلا
بے سمت ہواؤں نے ہر لہر سے سازش کیخوابوں کے جزیرے کا نقشہ بھی نہیں بدلا
— غلام محمد قاصر
Kashti bhi nahin badli darya bhi nahin badlaAur doobne walon ka jazba bhi nahin badla
Tasvir nahin badli shisha bhi nahin badlaNazrein bhi salamat hain chehra bhi nahin badla
Hai shauq-e-safar aisa ek umr se yaaron neManzil bhi nahin paai rasta bhi nahin badla
Be-kaar gaya ban mein sona mera sadiyon kaIs shahr mein to ab tak sikka bhi nahin badla
Be-simt hawaon ne har lehar se sazish kiKhwabon ke jazire ka naqsha bhi nahin badla