آخر کار چلے تیر کی رفتار قدمغیر منزل نہ پڑے راہ میں زنہار قدم
اٹھ گئے وصل کی شب پیشتر از یار قدمآگے ہم عمر رواں سے بھی چلے چار قدم
کوئے مقصود سے یوں رکھتی ہے غفلت مجھے دورجیسے سو جانے سے ہو جاتے ہیں بیکار قدم
اہل عالم میں ہوں میں زندوں میں مردوں کی طرحبڑھ چلیں لاکھ مگر ساتھ ہیں دو چار قدم
ایک مدت سے رہ کعبہ میں آوارہ ہیںکیا خدا کا مجھے دکھلائیں گے دیدار قدم
جوش وحشت میں بھی میں چڑھ کے نہ اس پر دوڑالے گئے حسرت خار سر دیوار قدم
صورت برگ خزاں جھڑتے ہیں ہر گام گناہجب اٹھاتے ہیں تری راہ میں زوار قدم
اے جنوں کوہ و بیابان بھی دکھلا مجھ کورہیں پستی و بلندی سے خبردار قدم
کوچہ گردی یہ شب و روز کی بے وجہ نہیںایڑیاں رگڑیں گے کس کے پس دیوار قدم
جادۂ راہ محبت کو خط مسطر جانسر کے بل مثل قدم چل جو ہوں بیکار قدم
خاک بھی ہوں تو ہوں خاک در اس کا آتشؔجس کے تھے دوش پیمبر کے سزا وار قدم
— حیدر علی آتش
Aakhir-kaar chale teer ki raftaar qadamGhair manzil na pade raah mein zanhaar qadam
Uth gaye vasl ki shab peshtar az yaar qadamAage hum umr-e-ravaan se bhi chale chaar qadam
Koo-e-maqsood se yoon rakhti hai ghaflat mujhe doorJaise so jaane se ho jaate hain bekaar qadam
Ahl-e-aalam mein houn main zindon mein murdon ki tarahBadh chalen laakh magar saath hain do chaar qadam
Ek muddat se rah-e-Ka'be mein aawara hainKya Khuda ka mujhe dikhlaayenge deedaar qadam
Josh-e-wehshat mein bhi main chadh ke na us par daudaLe gaye hasrat-e-khar sar-e-deewar qadam
Soorat-e-barg-e-khizaan jhadte hain har gaam gunaahJab uthaate hain teri raah mein zawwar qadam
Aye junoon koh o biyabaan bhi dikhla mujh koRahein pasti o bulandi se khabardaar qadam
Koocha-gardi yeh shab o roz ki be wajah nahinAidiyan ragdenge kis ke pas-e-deewar qadam
Jaada-e-raah-e-mohabbat ko khat-e-mistar jaanSar ke bal misl-e-qadam chal jo houn bekaar qadam
Khaak bhi houn to houn khaak-e-dar uska AtishJis ke the dosh-e-payambar ke saza-waar qadam