کوچۂ دلبر میں میں بلبل چمن میں مست ہےہر کوئی یاں اپنے اپنے پیرہن میں مست ہے
نشۂ دولت سے منعم پیرہن میں مست ہےمرد مفلس حالت رنج و محن میں مست ہے
دور گردوں ہے خداوندا کہ یہ دور شرابدیکھتا ہوں جس کو میں اس انجمن میں مست ہے
آج تک دیکھا نہیں ان آنکھوں نے روئے خمارکون مجھ سا گنبد چرخ کہن میں مست ہے
گردش چشم غزالاں گردش ساغر ہے یاںخوش رہیں اہل وطن دیوانہ پن میں مست ہے
ہے جو حیران صفائے رخ حلب میں آئینہبوئے زلف یار سے آہو ختن میں مست ہے
غافل و ہشیار ہیں اس چشم مے گوں کے خرابزندہ زیر پیرہن مردہ کفن میں مست ہے
ایک ساغر دو جہاں کے غم کو کرنا ہے غلطاے خوشا طالع جو شیخ و برہمن میں مست ہے
وحشت مجنوں و آتشؔ میں ہے بس اتنا ہی فرقکوئی بن میں مست ہے کوئی وطن میں مست ہے
— حیدر علی آتش
Koocha-e-dilbar mein main bulbul chaman mein mast haiHar koi yaañ apne apne pairāhan mein mast hai
Nasha-e-daulat se mun'im pairāhan mein mast haiMard-e-muflis hālat-e-ranj-o-mahan mein mast hai
Daur-e-gardooñ hai khudāvandā ke ye daur-e-sharābDekhtā huñ jis ko main is anjuman mein mast hai
Aaj tak dekhā nahin un ānkhoñ ne roo-e-khumārKaun mujh sa gumbad-e-charkh-e-kuhan mein mast hai
Gardish-e-chashm-e-ghazālāñ gardish-e-sāghar hai yaañKhush raheñ ahl-e-watan deewānan-pan mein mast hai
Hai jo hairān safā-e-rukh-e-halab mein ā'eenaBoo-e-zulf-e-yār se āhoo-e-khutan mein mast hai
Ghāfil-o-hoshyār hain is chashm-e-mai-gooñ ke kharābZinda zer-e-pairāhan murda kafan mein mast hai
Ek sāghar do jahāñ ke gham ko karna hai ghalaTAe khushā tāle' jo shaikh-o-brahman mein mast hai
Wahshat-e-Majnuñ-o-Atish! mein hai bas itnā hi farqKoi ban mein mast hai koi watan mein mast hai