طرہ اسے جو حسن دل آزار نے کیااندھیر گیسوئے سیہ یار نے کیا
گل سے جو سامنا ترے رخسار نے کیامژگاں نے وہ کیا کہ جو کچھ خار نے کیا
ناز و ادا کو ترک مرے یار نے کیاغمزہ نیا یہ ترک ستم گار نے کیا
افشاں سے کشتہ ابروئے خم دار نے کیاجوہر سے کام یار کی تلوار نے کیا
قامت تری دلیل قیامت کی ہو گئیکام آفتاب حشر کا رخسار نے کیا
میری نگہ کے رشک سے روزن کو جان دیرخنہ یہ قصر یار کی دیوار نے کیا
سودائے زلف میں مجھے آیا خیال رخمشتاق روشنی کا شب تار نے کیا
حسرت ہی بوسۂ لب شیریں کی رہ گئیمیٹھا نہ منہ کو تیرے نمک خوار نے کیا
فرصت ملی نہ گریہ سے اک لحظہ عشق میںپانی مرے لہو کو اس آزار نے کیا
سیماب کی طرح سے شگفتہ ہوا مزاجاکسیر مجھ کو میرے خریدار نے کیا
قد میں تو کر چکا تھا وہ احمق برابریمجبور سرو کو تری رفتار نے کیا
حیرت سے پا بہ گل ہوئے روزن کو دیکھ کردیوار ہم کو یار کی دیوار نے کیا
پتھر کے آگے سجدہ کیا تو نے برہمنکافر تجھے ترے بت پندار نے کیا
کاوش مژہ نے کی رخ دلبر کی دید میںپائے نگاہ سے بھی خلش خار نے کیا
عاشق کی طرح میں جو لگا کرنے بندگیآزاد داغ دے کے خریدار نے کیا
اعجاز کا عجب لب جاں بخش سے نہیںپیغمبر اس کو مصحف رخسار نے کیا
طرہ کی طرح سے دل عاشق کو پیچ میںکس کس لپیٹ سے تری دستار نے کیا
آنکھوں کو بند کر کے تصور میں باغ کےگلشن قفس کو مرغ گرفتار نے کیا
نالاں ہوا میں اس رخ رنگیں کو دیکھ کربلبل مجھے نظارۂ گل زار نے کیا
ہکلا کے مجھ سے بات جو اس دل ربا نے کیکس حسن سے ادا اسے تکرار نے کیا
الٹا ادھر نقاب تو پردے پڑے ادھرآنکھوں کو بند جلوۂ دیدار نے کیا
لذت کو ترک کر تو ہو دنیا کا رنج دورپرہیز بھی دوا ہے جو بیمار نے کیا
ناصاف آئینہ ہو تو بد تر ہے سنگ سےروشن یہ حال ہم کو جلاکار نے کیا
حلقہ کی ناف یار کے تعریف کیا کروںگول ایسا دائرہ نہیں پرکار نے کیا
دیوان حسن یار کی آتشؔ جو سیر کیدیوانہ بیت ابروئے خم دار نے کیا
— حیدر علی آتش
Tarh use jo husn-e-dil-āzār ne kiyāAndher gaisoo-e-siyah-e-yār ne kiyā
Gul se jo sāmnā tere rukhsār ne kiyāMizhgañ ne wo kiyā ke jo kuchh khār ne kiyā
Nāz-o-adā ko tark mere yār ne kiyāGhamza nayā ye tark-e-sitamgār ne kiyā
Afshāñ se kushta-e-abroo-e-khamdār ne kiyāJauhar se kām yār ki talwār ne kiyā
Qāmat teri daleel-e-qiyāmat ki ho gaīKām āftāb-e-hashr ka rukhsār ne kiyā
Meri nigah ke rashk se rozan ko jaan diRakhna ye qasr-e-yār ki deewār ne kiyā
Sauda-e-zulf mein mujhe āyā khayāl-e-rukhMushtāq roshni ka shab-e-tār ne kiyā
Hasrat hi bosa-e-lab-e-shīreeñ ki rah gaīMīthā na muñh ko tere namak-khwār ne kiyā
Fursat mili na girya se ek lahza ishq meinPaani mere lahoo ko is āzār ne kiyā
Sīmāb ki tarah se shugufta hua mizājIksīr mujh ko mere kharīdār ne kiyā
Qad mein to kar chukā tha wo ahmaq barābariMajboor sarv ko teri raftār ne kiyā
Hairat se pā ba gul hue rozan ko dekh karDeewār ham ko yār ki deewār ne kiyā
Patthar ke aage sajda kiyā tu ne BrahmanKāfir tujhe tere but-e-pindār ne kiyā
Kāvash mizha ne ki rukh-e-dilbar ki deeda meinPā-e-nigāh se bhi khalish-e-khār ne kiyā
Āshiq ki tarah main jo laga karne bandagiĀzād daagh de ke kharīdār ne kiyā
I'jāz ka ajab lab-e-jāñ-bakhsh se nahinPaigham-bar is ko mushaf-e-rukhsār ne kiyā
Tarh ki tarah se dil-e-āshiq ko pech meinKis kis lapeT se teri dastaar ne kiyā
Ānkhoñ ko band kar ke tasavvur mein bāgh keGulshan-e-qafas ko murgh-e-giraftār ne kiyā
Nālāñ hua main is rukh-e-rangeeñ ko dekh karBulbul mujhe nazāra-e-gulzār ne kiyā
Haklā ke mujh se baat jo is dilrubā ne kiKis husn se adā use takrār ne kiyā
UlTa idhar naqāb to parde paRe udharĀnkhoñ ko band jalwa-e-dīdār ne kiyā
Lazzat ko tark kar to ho duniyā ka ranj doorParhez bhi dawā hai jo bīmār ne kiyā
Nāsāf ā'eena ho to badtar hai sang seRoshan ye haal ham ko jalā-kār ne kiyā
Halqa ki nāf-e-yār ke ta'reef kya karuñGol aisa dā'ira nahin parkār ne kiyā
Deewān-e-husn-e-yār ki Atish! jo sair kiDeewāna bait-e-abroo-e-khamdār ne kiyā