البیلی کامنی کہ نشیلی گھڑی ہے شامسر مستیوں کی سیج پہ ننگی پڑی ہے شام
بے کل کیے ہے رین کے رسیا کا انتظارغمگیں ہے حسن شوخ کہ حیراں کھڑی ہے شام
چمکا دیا ہے اس کے شراروں نے فکر کواحساس عشق و حسن کی اک پھلجڑی ہے شام
تاباں ہے تیرا چہرہ کہ ہے جلوۂ سحررخشاں ہے تیری مانگ کہ تاروں جڑی ہے شام
روٹھے ہوئے دلوں کو بھی اس نے منا لیامن موہنی ہے کامنی چنچل بڑی ہے شام
جانے کب آئے آج سا ہنگام دل نوازیارو اٹھاؤ جام گھڑی دو گھڑی ہے شام
— کرشن موہن
Albailī kāmnī ke nashīlī ghaṛī hai shāmSar-mastiyoñ kī sej pe nangī paṛī hai shām
Be-kal kiye hai rain ke rasiyā kā intizārGhamgīn hai husn-e-shokh ke hairāñ khaṛī hai shām
Chamkā diyā hai us ke sharāroñ ne fikr koEhsās-e-ishq-o-husn kī ek phuljhaṛī hai shām
Tābāñ hai terā chehrah ke hai jalvah-e-saharRakhshāñ hai terī māñg ke tāroñ jaṛī hai shām
Rūṭhe hu'e diloñ ko bhī us ne manā liyāMan-mohanī hai kāmnī chanchal baṛī hai shām
Jaane kab āye āj sā hangām-e-dil-navāzYāro uṭhā'o jām ghaṛī do ghaṛī hai shām