ترے فرق ناز پہ تاج ہے مرے دوش غم پہ گلیم ہےتری داستاں بھی عظیم ہے مری داستاں بھی عظیم ہے
مری کتنی سوچتی صبحوں کو یہ خیال زہر پلا گیاکسی تپتے لمحے کی آہ ہے کہ خرام موج نسیم ہے
تہ خاک کرمک دانہ جو بھی شریک رقص حیات ہےنہ بس ایک جلوۂ طور ہے نہ بس ایک شوق کلیم ہے
یہ ہر ایک سمت مسافتوں میں گندھی پڑی ہیں جو ساعتیںتری زندگی مری زندگی انہی موسموں کی شمیم ہے
کہیں محملوں کا غبار اڑے کہیں منزلوں کے دئے جلیںخم آسماں رہ کارواں نہ مقام ہے نہ مقیم ہے
حرم اور دیر فسانہ ہے یہی جلتی سانس زمانہ ہےیہی گوشۂ دل ناصبور ہی کنج باغ نعیم ہے
— مجید امجد
Tere farq-e-nāz pe tāj hai, mere dosh-e-gham pe galīm haiTerī dāstāñ bhī azīm hai, merī dāstāñ bhī azīm hai
Merī kitnī sochī subhon ko ye khayāl zahr pilā gayāKisī tapte lamhe kī āh hai kih kharām-e-mauj-e-nasīm hai
Tah-e-khāk kirmak-dāna jo bhī sharīk-e-raqs-e-hayāt haiNa bas ek jalva-e-tūr hai na bas ek shauq-e-kalīm hai
Ye har ek simt musāfatoñ mein gundhī paṛī hain jo sā'ateñTerī zindagī merī zindagī inhī mausamon kī shamīm hai
Kahīñ mahmilon kā ghubār uṛe, kahīñ manzilon ke diye jalīñKham-e-āsmāñ rah-e-kārvāñ, na maqām hai na muqīm hai
Haram aur der fasāna hai, yahī jaltī saans zamāna haiYahī goshe-e-dil-e-nā-sabūr hī kunj-e-bāgh-e-na'īm hai