جلتا ہوں ہجر شاہد و یاد شراب میںشوق ثواب نے مجھے ڈالا عذاب میں
کہتے ہیں تم کو ہوش نہیں اضطراب میںسارے گلے تمام ہوئے اک جواب میں
پھیلی شمیم یار مرے اشک سرخ سےدل کو غضب فشار ہوا پیچ و تاب میں
چین جبیں کو دیکھ کے دل بستہ تر ہواکیسی کشود کار کشاد نقاب میں
ہم کچھ تو بد تھے جب نہ کیا یار نے پسنداے حسرت اس قدر غلطی انتخاب میں
رہتے ہیں جمع کوچۂ جاناں میں خاص و عامآباد ایک گھر ہے جہان خراب میں
آنکھ اس کی پھر گئی تھی دل اپنا بھی پھر گیایہ اور انقلاب ہوا انقلاب میں
بد نام میرے گریۂ رسوا سے ہو چکےاب عذر کیا رہا نگہ بے حجاب میں
مطلب کی جستجو نے یہ کیا حال کر دیاحسرت بھی اب نہیں دل ناکامیاب میں
گویا کہ رو رہا ہوں رقیبوں کی جان کوآتش زبانہ زن ہوئی طوفان آب میں
ناکامیوں سے کام رہا عمر بھر ہمیںپیری میں یاس ہے جو ہوس تھی شباب میں
ہے اختیار یار میں سود و زیاں مگرفاضل تھے ہم جہاں سے قضا کے حساب میں
ناصح ہے عیب جو و دل آزار اس قدرگویا ثواب ہے سخن ناصواب میں
دونوں کا ایک حال ہے یہ مدعا ہو کاشوہ ہی خط اس نے بھیج دیا کیوں جواب میں
تقدیر بھی بری مری تقریر بھی بریبگڑے وہ پرسش سبب اجتناب میں
کیا جلوے یاد آئے کہ اپنی خبر نہیںبے بادہ مست ہوں میں شب ماہتاب میں
ہے منتوں کا وقت شکایت رہی رہیآئے تو ہیں منانے کو وہ پر عتاب میں
تیری جفا نہ ہو تو ہے سب دشمنوں سے امنبدمست غیر محو دل اور بخت خواب میں
پیہم سجود پائے صنم پر دم وداعمومنؔ خدا کو بھول گئے اضطراب میں
— مومن خان مومن
Jalta hoon hijr-e-shaahid o yaad-e-sharaab meinShauq-e-sawaab ne mujhe dala azaab mein
Kehte hain tum ko hosh nahin iztiraab meinSaare gile tamaam hue ek jawaab mein
Phaili shameem-e-yaar mere ashk-e-surkh seDil ko ghazab fishaar hua pech o taab mein
Cheen-e-jabeen ko dekh ke dil basta tar huaKaisi kushood-e-kaar kushaad-e-naqaab mein
Hum kuch to bad the jab na kiya yaar ne pasandAe hasrat is qadar ghalti-e-intikhaab mein
Rahte hain jam'a koocha-e-jaanaan mein khaas o aamAabaad ek ghar hai jahaan-e-kharaab mein
Aankh us ki phir gayi thi dil apna bhi phir gayaYeh aur inqilaab hua inqilaab mein
Badnaam mere girya-e-ruswa se ho chukeAb uzr kya raha nigaah-e-be-hijab mein
Matlab ki justaju ne yeh kya haal kar diyaHasrat bhi ab nahin dil-e-nakaamyaab mein
Goya ke ro raha hoon raqeebon ki jaan koAatish zubana zan hui toofaan-e-aab mein
Nakaamiyon se kaam raha umr bhar hameinPeeri mein yaas hai jo havas thi shabaab mein
Hai ikhtiyar-e-yaar mein sood o ziyaan magarFaazil the hum jahaan se qaza ke hisaab mein
Naaseh hai aib ju o dil azaar is qadarGoya sawaab hai sukhan-e-nasaawab mein
Donon ka ek haal hai yeh mud'daa ho kaashWoh hi khat us ne bhej diya kyun jawaab mein
Taqdeer bhi buri meri taqreer bhi buriBigde woh pursish-e-sabab-e-ijtinaab mein
Kya jalwe yaad aaye ke apni khabar nahinBe-baada mast hoon main shab-e-mahtaab mein
Hai minnaton ka waqt shikayat rahi rahiAaye to hain manane ko woh par itaab mein
Teri jafa na ho to hai sab dushmanon se amanBadmast-e-ghair mahv-e-dil aur bakht-e-khwaab mein
Paiham sujood-e-paa-e-sanam par dam-e-wida'aMomin Khuda ko bhool gaye iztiraab mein