دل میں نہ ہو جرأت تو محبت نہیں ملتیخیرات میں اتنی بڑی دولت نہیں ملتی
کچھ لوگ یوں ہی شہر میں ہم سے بھی خفا ہیںہر ایک سے اپنی بھی طبیعت نہیں ملتی
دیکھا ہے جسے میں نے کوئی اور تھا شایدوہ کون تھا جس سے تری صورت نہیں ملتی
ہنستے ہوئے چہروں سے ہے بازار کی زینترونے کی یہاں ویسے بھی فرصت نہیں ملتی
نکلا کرو یہ شمع لیے گھر سے بھی باہرکمرے میں سجانے کو مصیبت نہیں ملتی
— ندا فاضلی
Dil mein na ho jurrat to mohabbat nahin miltiKhairat mein itni badi daulat nahin milti
Kuchh log yun hi shahar mein hum se bhi khafa hainHar ek se apni bhi tabiyat nahin milti
Dekha hai jise main ne koi aur tha shayadWoh kaun tha jis se teri soorat nahin milti
Hanste hue chehron se hai bazaar ki zeenatRone ki yahan waise bhi fursat nahin milti
Nikla karo ye shama liye ghar se bhi baharKamre mein sajane ko museebat nahin milti