مٹھی بھر لوگوں کے ہاتھوں میں لاکھوں کی تقدیریں ہیںجدا جدا ہیں دھرم علاقے ایک سی لیکن زنجیریں ہیں
آج اور کل کی بات نہیں ہے صدیوں کی تاریخ یہی ہےہر آنگن میں خواب ہیں لیکن چند گھروں میں تعبیریں ہیں
جب بھی کوئی تخت سجا ہے میرا تیرا خون بہا ہےدرباروں کی شان و شوکت میدانوں کی شمشیریں ہیں
ہر جنگل کی ایک کہانی وہ ہی بھینٹ وہی قربانیگونگی بہری ساری بھیڑیں چرواہوں کی جاگیریں ہیں
— ندا فاضلی
Mutthi bhar logon ke haathon mein lakhon ki taqdeerein hainJuda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjeerein hain
Aaj aur kal ki baat nahin hai sadiyon ki tareekh yahi haiHar aangan mein khwab hain lekin chand gharon mein taabeerein hain
Jab bhi koi takht saja hai mera tera khoon baha haiDarbaron ki shaan-o-shaukat maidano'n ki shamsheerein hain
Har jungle ki ek kahaani wahi bhent wahi qurbaaniGoongi behri saari bhedien charwahon ki jaageerein hain