نزدیکیوں میں دور کا منظر تلاش کرجو ہاتھ میں نہیں ہے وہ پتھر تلاش کر
سورج کے ارد گرد بھٹکنے سے فائدہدریا ہوا ہے گم تو سمندر تلاش کر
تاریخ میں محل بھی ہے حاکم بھی تخت بھیگمنام جو ہوئے ہیں وہ لشکر تلاش کر
رہتا نہیں ہے کچھ بھی یہاں ایک سا سدادروازہ گھر کا کھول کے پھر گھر تلاش کر
کوشش بھی کر امید بھی رکھ راستہ بھی چنپھر اس کے بعد تھوڑا مقدر تلاش کر
— ندا فاضلی
Nazdeekiyon mein door ka manzar talaash karJo haath mein nahin hai woh patthar talaash kar
Sooraj ke ard gird bhatakne se faaydaDarya hua hai gum to samundar talaash kar
Tareekh mein mahal bhi hai haakim bhi takht bhiGumnaam jo hue hain woh lashkar talaash kar
Rehta nahin hai kuchh bhi yahan ek sa sadaDarwaza ghar ka khol ke phir ghar talaash kar
Koshish bhi kar umeed bhi rakh raasta bhi chunPhir us ke baad thoda muqaddar talaash kar