تازہ محبتوں کا نشہ جسم و جاں میں ہےپھر موسم بہار مرے گلستاں میں ہے
اک خواب ہے کہ بار دگر دیکھتے ہیں ہماک آشنا سی روشنی سارے مکاں میں ہے
تابش میں اپنی مہر و مہ و نجم سے سواجگنو سی یہ زمیں جو کف آسماں میں ہے
اک شاخ یاسمین تھی کل تک خزاں اثراور آج سارا باغ اسی کی اماں میں ہے
خوشبو کو ترک کر کے نہ لائے چمن میں رنگاتنی تو سوجھ بوجھ مرے باغباں میں ہے
لشکر کی آنکھ مال غنیمت پہ ہے لگیسالار فوج اور کسی امتحاں میں ہے
ہر جاں نثار یاد دہانی میں منہمکنیکی کا ہر حساب دل دوستاں میں ہے
حیرت سے دیکھتا ہے سمندر مری طرفکشتی میں کوئی بات ہے یا بادباں میں ہے
— پروین شاکر
Taza mohabbaton ka nasha jism-o-jaan mein haiPhir mausam-e-bahar mere gulistan mein hai
Ek khwab hai ke baar-e-digar dekhte hain humEk aashna si roshni saare makan mein hai
Tabish mein apni mehr-o-mah-o-anjum se siwaJugnu si yeh zameen jo kaf-e-asman mein hai
Ek shakh-e-yasmeen thi kal tak khizan asarAur aaj sara baagh usi ki aman mein hai
Khushboo ko tark kar ke na laaye chaman mein rangItni toh soojh boojh mere baaghban mein hai
Lashkar ki aankh maal-e-ghaneemat pe hai lagiSalaar-e-fauj aur kisi imtihan mein hai
Har jaan nisar yaad dehani mein munhamikNeki ka har hisab dil-e-dostan mein hai
Hairat se dekhta hai samundar meri tarafKashti mein koi baat hai ya baadbaan mein hai