جو راستے سے بھی گزریں انہیں حبیب رکھوںدیا جلاؤں تو دہلیز کے قریب رکھوں
مرا خلوص پشیماں ہے میری فطرت سےوہ مجھ سے دور کھنچیں میں انہیں قریب رکھوں
کسی کے دل میں جگہ ہو تو بوجھ بانٹوں بھیکہیں زمین نہیں ہے کہاں صلیب رکھوں
کبھی مزاج نہ پوچھوں کبھی لگاؤں گلےمیں زندگی سے مراسم بڑے عجیب رکھوں
بدن سے لو تو اٹھے روشنی تو ہو قیصرؔہوا کے رخ پہ سلگتا ہوا نصیب رکھوں
— قیصر الجعفری
Jo raaste se bhi guzren unhein habīb rakkhūnDiya jalāūn to dehlīz ke qarīb rakkhūn
Mirā khulūs pashemāñ hai merī fitrat seWoh mujh se duur khinchen main unhein qarīb rakkhūn
Kisī ke dil mein jagah ho to bojh bāntūñ bhīKahin zamīn nahīn hai kahāñ salīb rakkhūn
Kabhi mizāj na pūchhūñ kabhi lagāūn galeMain zindagī se marāsim baṛe ajīb rakkhūn
Badan se lau to uṭhe raushnī to ho QaisarؔHavā ke rukh pe sulagtā huā nasīb rakkhūn