زندگی تو مجھے کس موڑ پہ لے آئی ہےخواب کھلتے تھے جہاں برف وہاں چھائی ہے
سو دریچے ہیں مگر شمع کسی پر بھی نہیںچاند نکلے مری راتوں کا مقدر بھی نہیں
کیا کروں کیا نہ کروں ہاتھ میں پتھر بھی نہیںشیش محلوں کو کوئی غم بھی نہیں ڈر بھی نہیں
لوگ گونگے ہیں بیاباں میں اذاں کیسے ہولوگ قاتل ہیں علاج غم جاں کیسے ہو
لوگ پتھر ہیں تو احساس زیاں کیسے ہوکس کو فرصت ہے جو پوچھے کہ میاں کیسے ہو
رات جب ختم ہوئی تھی تو سحر لگتی تھیروشنی راہ گزر راہ گزر لگتی تھی
زندگی کوچۂ جاناں کا سفر لگتی تھیاپنی منزل کہیں جنت کے ادھر لگتی تھی
کچھ بھی آنکھوں میں نہیں اشک ندامت کے سواکچھ بھی دامن میں نہیں داغ ملامت کے سوا
کچھ بھی چہرے پہ نہیں گرد مسافت کے سوااپنی دوکان میں سب کچھ ہے محبت کے سوا
— قیصر الجعفری
Zindagī to mujhe kis moṛ pe le āī haiKhwāb khulte the jahāñ barf wahāñ chhāī hai
Sau darīche hain magar sham'a kisī par bhī nahīñChāñd nikle mirī rātoñ kā muqaddar bhī nahīñ
Kya karūñ kya na karūñ hāth mein patthar bhī nahīñShīsh mahloñ ko koi gham bhī nahīñ ḍar bhī nahīñ
Log gūñge hain bayābāñ mein azān kaise hoLog qātil hain ilāj-e-gham-e-jāñ kaise ho
Log patthar hain to ehsās-e-ziyāñ kaise hoKis ko fursat hai jo pūchhe ki miyāñ kaise ho
Rāt jab khatm huī thī to sahar lagtī thīRaushnī rāhguzar rāhguzar lagtī thī
Zindagī kūcha-e-jānāñ kā safar lagtī thīApnī manzil kahīn jannat ke idhar lagtī thī
Kuchh bhī āñkhoñ mein nahīñ ashk-e-nadāmat ke sivāKuchh bhī dāman mein nahīñ dāgh-e-malāmat ke sivā
Kuchh bhī chehre pe nahīñ gard-e-musāfat ke sivāApnī dukān mein sab kuch hai mohabbat ke sivā