آنکھوں میں خواب اور رگ و پے میں خوں نہیںلیلیٰ و دشت ہے مگر اب وہ جنوں نہیں
یہ اضطراب اور بھی بڑھتا ہے روح میںاب خواب میں بھی مجھ کو میسر سکوں نہیں
تنکا سا بن کے رہ گئے ہیں سطح آب پرہم بہنا چاہتے تھے اے دریا پہ یوں نہیں
خالی پڑی ہوئی ہے مری کائنات دلغم بھی کوئی بچا ہوا اب کے دروں نہیں
طوفان و برشگال سے گو پرزہ پرزہ ہےکشتی کا بادبان مگر سر نگوں نہیں
آواز مر رہی ہے مگر شہر میں فگارؔکوئی ملول حرف کی میت پہ کیوں نہیں
— سلیم فگار
Aankhon mein khwaab aur rag-o-pe mein khoon nahinLaila o dasht hai magar ab woh junoon nahin
Yeh iztiraab aur bhi barhta hai rooh meinAb khwaab mein bhi mujh ko mayassar sakoon nahin
Tinka sa ban ke reh gaye hain satah-e-aab parHum behna chahte the ae darya yeh yoon nahin
Khaali padi hui hai meri kayanat-e-dilGham bhi koi bacha hua ab ke daroon nahin
Toofan-o-barshagaal se go purza purza haiKashti ka baadbaan magar sar-nigoon nahin
Aawaaz mar rahi hai magar shahar mein fighaarKoi malool harf ki mayyat pe kyun nahin