نشاط دل ہے یا تسکین جاں ہےمری ہر شئے برائے دوستاں ہے
یہاں اخلاص بھی اک مصلحت ہےیہ دنیا عالم سود و زیاں ہے
سماعت کو ذرا تکلیف دیجےسکوت لالہ و گل نغمہ خواں ہے
حیات جاوداں کیا چیز ہوگیحیات عارضی بھی جاوداں ہے
عمل اور سوچ میں ہے فرق کتناکنارہ چپ ہے اور دریا رواں ہے
عدمؔ ہستی کے اجڑے گلستاں میںمحبت ہی بہار بے خزاں ہے
— عبدالحمیدعدم
Nishāt-e-dil hai yā taskīn-e-jāñ haiMerī har shai barā-e-dostān hai
Yahāñ iKHlās bhī ik maslahat haiYeh duniyā ālam-e-sūd-o-ziyān hai
Samā'at ko zarā taklīf dījiyeSukūt-e-lāla-o-gul naghma-KHwāñ hai
Hayāt-e-jāvedāñ kyā chīz hogīHayāt-e-'āriZI bhī jāvedāñ hai
Amal aur soch mein hai farq kitnāKināra chup hai aur daryā ravāñ hai
'Adam' hastī ke ujaRe gulistāñ meinMohabbat hī bahār-e-be-KHizāñ hai