حرف لفظوں کی طرف لفظ معانی کی طرفلوٹ آئے سبھی کردار کہانی کی طرف
اس سے کہنا کہ دھواں دیکھنے لائق ہوگاآگ پہنے ہوئے جاوں گا میں پانی کی طرف
پہلے مصرعے میں تجھے سوچ لیا ہو جس نےجانا پڑتا ہے اسے مصرع ثانی کی طرف
دل وہ دریا ہے مرے سینۂ خالی میں کہ ابدھیان جاتا ہی نہیں جس کہ روانی کی طرف
— ابھیشک شکلا
Harf lafzon ki taraf lafz maani ki tarafLaut aaye sabhi kirdaar kahaani ki taraf
Us se kehna ke dhuaan dekhne laaiq hogaAag pehne hue jaaunga main paani ki taraf
Pehle misre mein tujhe soch liya ho jis neJaana parta hai use misra-e-saani ki taraf
Dil woh darya hai mere seena-e-khaali mein ke abDhyaan jaata hi nahin jis ke rawaani ki taraf