جب دور ہیں تجھ سے تو یہ افتاد بھی آئےطوفان شب دشت میں تو یاد بھی آئے
حیران ہے اس بات پہ انبوہ اسیراںپر کھلنے کی تقریب میں صیاد بھی آئے
ہارے ہوئے لشکر کا علم گر بھی چکا ہےاب کیا جو کسی سمت سے امداد بھی آئے
اک عمر ہوئی نذر خرابات ہماریصد شکر سر قریۂ آباد بھی آئے
اک بو کہ بغل گیر ہوئی دشت میں ہم سےجیسے یہاں پہلے کبھی اجداد بھی آئے
— اختر عثمان
Jab door hain tujh se to ye iftad bhi aayeToofan-e-shab-e-dasht mein to yaad bhi aaye
Hairan hai is baat pe anboh-e-aseeranPar khulne ki taqreeb mein sayyad bhi aaye
Haare hue lashkar ka alam gir bhi chuka haiAb kya jo kisi simt se imdad bhi aaye
Ek umr hui nazr-e-kharabaat hamariSad shukr sar-e-qarya-e-aabaad bhi aaye
Ek boo ke baghal-geer hui dasht mein hum seJaise yahan pehle kabhi ajdad bhi aaye