عظیم کام کروں کوئی ایک دن سوچاکہ رہتی دنیا میں اپنا بھی نام رہ جائے
مگر وہ کام ہو کیا ذہن میں نہیں آیاپیمبری تو زیاں جان کا ہے دعویٰ کیا
تو جانے سولی پہ چڑھنا ہو یا چلیں آرےکہ زندہ آگ کی لپٹوں کی نذر ہونا پڑے
خیال آیا فنون لطیفہ ڈھیروں ہیںصنم تراشی ہے نغمہ گری کہ نقاشی
یہ سب ہی دائمی شہرت کا اک وسیلہ ہیںمگر نہ لفظوں پہ قدرت نہ رنگ قابو میں
پھر اک ذریعہ سیاست ہے نام پانے کاعلاوہ نام کے مہرے بنا کے لوگوں کو
بساط ارض پہ شطرنج کھیل سکتے ہیںمگر یہ فن بھی مری دسترس سے باہر تھا
پھر اور کیا ہو بہت کچھ خیال دوڑایاعلاوہ ان کے مجھے اور کچھ نہیں سوجھا
زمانے بعد سمندر کنارے بیٹھا تھاعظیم شے ہے سمندر بھی میرے دل نے کہا
وہ کیا طریقہ ہو میں اس کا بھاگ بن جاؤںسمجھ میں آیا نہیں کوئی راستہ بھی جب
تو جھنجھلا کے سمندر میں کر دیا پیشاب
— اخترالایمان
Azeem kaam karoon koi ek din sochaKe rehti duniya mein apna bhi naam reh jaaye
Magar woh kaam ho kya zehn mein nahin aayaPaighambari toh ziyaan jaan ka hai da'wa kya
Toh jaane sooli pe chadhna ho ya chalen aareKe zinda aag ki lapton ki nazar hona pade
Khayal aaya funoon-e-lateefa dheron hainSanam tarashi hai, naghma-gari ke naqqashi
Yeh sab hi daayami shohrat ka ek waseela hainMagar na lafzon pe qudrat, na rang qaaboo mein
Phir ek zariya siyasat hai naam paane kaAlaawa naam ke mohre bana ke logon ko
Bisaat-e-arz pe shatranj khel sakte hainMagar yeh fan bhi meri dastaras se bahar tha
Phir aur kya ho bohot kuch khayal daudayaAlaawa in ke mujhe aur kuch nahin soojha
Zamaane baad samandar kinare baitha thaAzeem shay hai samandar bhi mere dil ne kaha
Woh kya tareeqa ho main us ka bhaag ban jaunSamajh mein aaya nahin koi raasta bhi jab
Toh jhunjhala ke samandar mein kar diya peshaab