جب سے باندھا ہے تصور اس رخ پر نور کاسارے گھر میں نور پھیلا ہے چراغ طور کا
بخت واژوں سے جلے کیوں دل نہ مجھ محرور کامرہم کافور سے منہ آ گیا ناسور کا
اس قدر مشتاق ہوں زاہد خدا کے نور کابت بھی بنوایا کبھی میں نے تو سنگ طور کا
تجھ کو لائے گھر میں جنت کو جلایا رشک سےہم بغل تجھ سے ہوئے پہلو دبایا حور کا
گور کافر کس لیے ہے تیرہ و تار اس قدرپڑ گیا سایہ مگر میری شب دیجور کا
حسن یوسف اور تیرے حسن میں اتنا ہے فرقچوٹ یہ نزدیک کی ہے وار تھا وہ دور کا
قصر تن بگڑا کسی کا گورکن کی بن پڑیگھر کسی کا گر پڑا گھر بن گیا مزدور کا
چہرۂ جاناں سے شرما کر چھپایا خلد میںخامۂ تقدیر نے کھینچا جو نقشہ حور کا
حاجت مشاطہ کیا رخسار روشن کے لیےدیکھ لو گل کاٹتا ہے کون شمع طور کا
زلف و روئے یار سے نیرنگ قدرت ہے عیاںمہر کے پنجے میں ہے دامن شب دیجور کا
خاکساری کر جو ہو منظور آنکھوں میں جگہخاک ہو کر سرمہ بن جاتا ہے پتھر طور کا
غافلوں کے کان کب کھلتے ہیں سن کر شور حشرسونے والوں کو جگا سکتا نہیں غل دور کا
پوچھ لینا سب وطن کا حال اے اہل عدمبیٹھ لینے دو ذرا آتا ہوں اٹھا دور کا
عجز کرتے ہیں عدوئے جان سے بھی خاصان حقجھک گیا سر آگے پائے دار پر منصور کا
موت کیا آئی تپ فرقت سے صحت ہو گئیدم نکلنے سے بدن ٹھنڈا ہوا رنجور کا
جاتے ہیں مے خانۂ عالم سے ہم سوئے عدمکہہ دو ازخود رفتگی سے ہے ارادہ دور کا
موذیوں کو حادثوں سے دہر کے کیا خوف ہےبارش باراں سے گھر گرتا نہیں زنبور کا
چشم ساغر بے سبب ہر دم لہو روتی نہیںمغبچوں سے ساقیا دل پھٹ گیا انگور کا
جاتے ہیں مے خانۂ عالم سے ہم سوئے عدمکہہ دو ازخود رفتگی سے ہے ارادہ دور کا
کی نظر جس پر کدورت سے رہا خاموش وہہے اثر گرد نگاہ یار میں سیندور کا
جلوۂ معشوق ہر جا ہے بصیرت ہو اگرکرمک شب تاب میں عالم ہے شمع طور کا
مر کے یاران عدم کے پاس پہنچوں گا امیرؔچلتے چلتے جان جائے گی سفر ہے دور کا
— امیر مینائی
Jab se bāñdhā hai tasavvur us rukh-e-pur-nūr kāSāre ghar mein nūr phailā hai chirāgh-e-tūr kā
Bakht vāzhoñ se jale kyuuñ dil na mujh mehrūr kāMarham kāfūr se muñh aa gayā nāsūr kā
Is qadar mushtāq huuñ zāhid khudā ke nūr kāBut bhī banvāyā kabhī maiñ ne to sañg-e-tūr kā
Tujh ko lā'e ghar mein jannat ko jalāyā rashk seHam baghal tujh se hu'e pahlu dabāyā hūr kā
Gor-e-kāfir kis li'e hai tīra-o-tār is qadarPaṛ gayā sāya magar merī shab-e-dījor kā
Husn-e-Yūsuf aur tere husn mein itnā hai farqChoṭ ye nazdīk kī hai vār thā vo dūr kā
Qasr-e-tan bigṛā kisī kā gor-kan kī ban paṛīGhar kisī kā gir paṛā ghar ban gayā mazdūr kā
Chehra-e-jānāñ se sharmā kar chhupāyā khuld meinKhāma-e-taqdīr ne khīñchā jo naqsha hūr kā
Hājat-e-mashshāṭa kyā rukhsār-e-raushan ke li'eDekh lo gul kāṭtā hai kaun sham'-e-tūr kā
Zulf-o-rū-e-yār se nairang-e-qudrat hai 'ayāñMehr ke pañje mein hai dāman-e-shab-e-dījor kā
Khāksārī kar jo ho manzūr āñkhoñ mein jagaKhāk ho kar surma ban jātā hai patthar-e-tūr kā
Ghāfiloñ ke kān kab khulte haiñ sun kar shor-e-hashrSone vāloñ ko jagā saktā nahīñ ghul dūr kā
Pūchh lenā sab vatan kā hāl ai ahl-e-'adamBaiṭh lene do zarā ātā huuñ uṭhā dūr kā
Ajz karte haiñ 'adū-e-jāñ se bhī khāsān-e-haqJhuk gayā sar aage pā-e-dār par Mansūr kā
Maut kyā ā'ī tap-e-furqat se sehat ho ga'īDam nikalne se badan ṭhanḍā huā ranjūr kā
Jāte haiñ mai-khāna-e-'ālam se ham sū-e-'adamKah do az-khud-raftagī se hai irāda dūr kā
Mūziyoñ ko hādisoñ se dahr ke kyā khauf haiBārish-e-bārāñ se ghar girtā nahīñ zanbūr kā
Chashm-e-sāghar be-sabab har dam lahū rotī nahīñMugh-bachoñ se sāqiyā dil phaṭ gayā añgūr kā
Jāte haiñ mai-khāna-e-'ālam se ham sū-e-'adamKah do az-khud-raftagī se hai irāda dūr kā
Kī nazar jis par kudūrat se rahā khāmosh voHai asar gard-e-nigāh-e-yār mein sindūr kā
Jalva-e-ma'shūq har jā hai basīrat ho agarKirmak-e-shab-tāb mein 'ālam hai sham'-e-tūr kā
Mar ke yārān-e-'adam ke pās pahuñchūñgā AmīrؔChalte chalte jān jā'egī safar hai dūr kā