فراق یار نے بے چین مجھ کو رات بھر رکھاکبھی تکیہ ادھر رکھا کبھی تکیہ ادھر رکھا
شکست دل کا باقی ہم نے غربت میں اثر رکھالکھا اہل وطن کو خط تو اک گوشہ کتر رکھا
برابر آئینے کے بھی نہ سمجھے قدر وہ دل کیاسے زیر قدم رکھا اسے پیش نظر رکھا
مٹائے دیدہ و دل دونوں میرے اشک خونیں نےعجب یہ طفل ابتر تھا نہ گھر رکھا نہ در رکھا
تمہارے سنگ در کا ایک ٹکڑا بھی جو ہاتھ آیاعزیز ایسا کیا مر کر اسے چھاتی پہ دھر رکھا
جناں میں ساتھ اپنے کیوں نہ لے جاؤں گا ناصح کوسلوک ایسا ہی میرے ساتھ ہے حضرت نے کر رکھا
نہ کی کس نے سفارش میری وقت قتل قاتل سےکماں نے ہاتھ جوڑے تیغ نے قدموں پہ سر رکھا
غضب برسے وہ میرے آتے ہی معلوم ہوتا ہےجگہ خالی جو پائی یار کو غیروں نے بھر رکھا
بڑا احساں ہے میرے سر پہ اس کی لغزش پا کاکہ اس نے بے تحاشا ہاتھ میرے دوش پر رکھا
زمیں میں دانۂ گندم صدف میں ہم ہوے گوہرہمارے عجز نے ہر معرکہ میں ہم کو در رکھا
ترے ہر نقش پا کو رہ گزر میں سجدہ گہ سمجھےجہاں تو نے قدم رکھا وہاں میں نے بھی سر رکھا
امیر اچھا شگون مے کیا ساقی کی فرقت میںجو برسا ابر رحمت جائے مے شیشوں میں بھر رکھا
— امیر مینائی
Firāq-e-yār ne bechain mujh ko raat bhar rakhāKabhī takiya idhar rakhā kabhī takiya udhar rakhā
Shikast-e-dil kā bāqī ham ne ghurbat mein asar rakhāLikhā ahl-e-vatan ko khaṭ to ik gosha katar rakhā
Barābar ā'īne ke bhī na samjhe qadr vo dil kīUse zer-e-qadam rakhā use pesh-e-nazar rakhā
Miṭāe dīda-o-dil donoñ mere ashk-e-khūnīñ neAjab ye tifl-e-abtar thā na ghar rakhā na dar rakhā
Tumhāre sang-e-dar kā ek ṭukṛā bhī jo hāth āyāAzīz aisā kiyā mar kar use chhātī pe dhar rakhā
Jināñ mein sāth apne kyuuñ na le jā'ūñgā nāseh koSulūk aisā hī mere sāth hai hazrat ne kar rakhā
Na kī kis ne sifārish merī vaqt-e-qatl-e-qātil seKamāñ ne hāth joṛe tegh ne qadmoñ pe sar rakhā
Ghazab barse vo mere aate hī ma'lūm hotā haiJaga khālī jo pā'ī yār ko ghairōñ ne bhar rakhā
Baṛā ehsān hai mere sar pe us kī laghzish-e-pā kāKi us ne be-tahāshā hāth mere dosh par rakhā
Zamīñ mein dāna-e-gandum sadaf mein ham hu'e gauharHamāre 'ajz ne har ma'rika mein ham ko dar rakhā
Tere har naqsh-e-pā ko rahguzar mein sajda-gah samjheJahāñ tū ne qadam rakhā vahāñ maiñ ne bhī sar rakhā
Amīrؔ! achhā shugūn-e-mai kyā sāqī kī furqat meinJo barsā abr-e-rahmat jā'e-mai shīshoñ mein bhar rakhā