ہے خموشی ظلم چرخ دیو پیکر کا جوابآدمی ہوتا تو ہم دیتے برابر کا جواب
جو بگولا دشت غربت میں اٹھا سمجھا یہ میںکرتی ہے تعمیر دیوانی مرے گھر کا جواب
ساتھ خنجر کے چلے گی وقت ذبح اپنی زبانجان دینے والے دیتے ہیں برابر کا جواب
سجدہ کرتا ہوں جو میں ٹھوکر لگاتا ہے وہ بتپاؤں اس کا بڑھ کے دیتا ہے مرے سر کا جواب
ابر کے ٹکڑے نہ الجھیں میری موج اشک سےخشک مغزوں سے ہے مشکل مصرعۂ تر کا جواب
وہ کھنچا تھا میں بھی کھنچ رہتا تو بنتی کس طرحسر جھکا دیتا تھا قاتل تیرے خنجر کا جواب
جیتے جی ممکن نہیں اس شوخ کا خط دیکھنابعد میرے آئے گا میرے مقدر کا جواب
شیخ کہتا ہے برہمن کو برہمن اس کو سختکعبہ و بت خانہ میں پتھر ہے پتھر کا جواب
روز دکھلاتا ہے گردوں کیسی کیسی صورتیںبت تراشی میں ہے یہ کافر بھی آذر کا جواب
ہر جگہ قبر گدا تکیے میں ہر جا گور شاہایک گھر اس شہر میں ہے دوسرے گھر کا جواب
جلوہ گر ہے نور حق ہونے سے یکتائی امیرؔسایہ بھی ہوتا اگر ہوتا پیمبر کا جواب
— امیر مینائی
Hai khamoshi zulm-e-charkh-e-dev paikar ka jawabAadmi hota toh hum dete barabar ka jawab
Jo bagoola dasht-e-ghurbat mein utha samjha yeh mainKarti hai ta'meer deewani mere ghar ka jawab
Saath khanjar ke chale gi waqt-e-zibh apni zabaanJaan dene wale dete hain barabar ka jawab
Sajda karta hoon jo main thokar lagata hai woh butPaaon us ka badh ke deta hai mere sar ka jawab
Abr ke tukde na uljhein meri mauj-e-ashk seKhushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar ka jawab
Woh khincha tha main bhi khinch rehta toh banti kis tarahSar jhuka deta tha qaatil tere khanjar ka jawab
Jeete ji mumkin nahin us shokh ka khat dekhnaBaad mere aaye ga mere muqaddar ka jawab
Shaikh kehta hai barahman ko barahman us ko sakhtKaaba o but-khana mein patthar hai patthar ka jawab
Roz dikhlata hai gardoon kaisi kaisi soorateinBut tarashi mein hai yeh kaafir bhi Azar ka jawab
Har jagah qabr-e-gada takiye mein har ja gor-e-shahEk ghar is shahr mein hai doosre ghar ka jawab
Jalwah-gar hai noor-e-haq hone se yaktaayi AmeerSaaya bhi hota agar hota payambar ka jawab