سر میں سودا بھی نہیں دل میں تمنا بھی نہیںلیکن اس ترک محبت کا بھروسا بھی نہیں
دل کی گنتی نہ یگانوں میں نہ بیگانوں میںلیکن اس جلوہ گہہ ناز سے اٹھتا بھی نہیں
مہربانی کو محبت نہیں کہتے اے دوستآہ اب مجھ سے تری رنجش بے جا بھی نہیں
ایک مدت سے تری یاد بھی آئی نہ ہمیںاور ہم بھول گئے ہوں تجھے ایسا بھی نہیں
آج غفلت بھی ان آنکھوں میں ہے پہلے سے سواآج ہی خاطر بیمار شکیبا بھی نہیں
بات یہ ہے کہ سکون دل وحشی کا مقامکنج زنداں بھی نہیں وسعت صحرا بھی نہیں
ارے صیاد ہمیں گل ہیں ہمیں بلبل ہیںتو نے کچھ آہ سنا بھی نہیں دیکھا بھی نہیں
آہ یہ مجمع احباب یہ بزم خاموشآج محفل میں فراقؔ سخن آرا بھی نہیں
یہ بھی سچ ہے کہ محبت پہ نہیں میں مجبوریہ بھی سچ ہے کہ ترا حسن کچھ ایسا بھی نہیں
یوں تو ہنگامے اٹھاتے نہیں دیوانۂ عشقمگر اے دوست کچھ ایسوں کا ٹھکانا بھی نہیں
فطرت حسن تو معلوم ہے تجھ کو ہمدمچارہ ہی کیا ہے بجز صبر سو ہوتا بھی نہیں
منہ سے ہم اپنے برا تو نہیں کہتے کہ فراقؔہے ترا دوست مگر آدمی اچھا بھی نہیں
— فراق گورکھپوری
Sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahinLekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin
Dil ki ginti na yaganon mein na beganon meinLekin is jalwa-gah-e-naaz se uthta bhi nahin
Meharbani ko mohabbat nahin kehte aye dostAah ab mujh se teri ranjish-e-be-ja bhi nahin
Ek muddat se teri yaad bhi aayi na hameinAur hum bhool gaye hon tujhe aisa bhi nahin
Aaj ghaflat bhi un aankhon mein hai pehle se siwaAaj hi khatir-e-bemaar-e-shakeba bhi nahin
Baat yeh hai ke sukoon-e-dil-e-wahshi ka muqamKunj-e-zindan bhi nahin wus'at-e-sahra bhi nahin
Are sayyad hamein gul hain hamein bulbul hainTu ne kuchh aah suna bhi nahin dekha bhi nahin
Aah yeh majma-e-ahbab yeh bazm-e-khamoshAaj mehfil mein Firaq! sukhan-aara bhi nahin
Yeh bhi sach hai ke mohabbat pe nahin main majboorYeh bhi sach hai ke tera husn kuchh aisa bhi nahin
Yoon to hangame uthate nahin deewane-e-ishqMagar aye dost kuchh aison ka thikana bhi nahin
Fitrat-e-husn to maloom hai tujh ko hamdamChara hi kya hai bajuz sabr so hota bhi nahin
Munh se hum apne bura to nahin kehte ke Firaq!Hai tera dost magar aadmi achha bhi nahin