اے صنم جس نے تجھے چاند سی صورت دی ہےاسی اللہ نے مجھ کو بھی محبت دی ہے
تیغ بے آب ہے نے بازوئے قاتل کمزورکچھ گراں جانی ہے کچھ موت نے فرصت دی ہے
اس قدر کس کے لیے یہ جنگ و جدل اے گردوںنہ نشاں مجھ کو دیا ہے نہ تو نوبت دی ہے
سانپ کے کاٹے کی لہریں ہیں شب و روز آتیںکاکل یار کے سودے نے اذیت دی ہے
آئی اکسیر غنی دل نہیں رکھتی ایساخاکساری نہیں دی ہے مجھے دولت دی ہے
شمع کا اپنے فتیلہ نہیں کس رات جلاعمل حب کی بہت ہم نے بھی دعوت دی ہے
جسم کو زیر زمیں بھی وہی پہونچا دے گاروح کو جس نے فلک سیر کی طاقت دی ہے
فرقت یار میں رو رو کے بسر کرتا ہوںزندگانی مجھے کیا دی ہے مصیبت دی ہے
یاد محبوب فراموش نہ ہووے اے دلحسن نیت نے مجھے عشق سے نعمت دی ہے
گوش پیدا کیے سننے کو ترا ذکر جمالدیکھنے کو ترے، آنکھوں میں بصارت دی ہے
لطف دل بستگیٔ عاشق شیدا کو نہ پوچھدو جہاں سے اس اسیری نے فراغت دی ہے
کمر یار کے مضمون کو باندھو آتشؔزلف خوباں سی رسا تم کو طبیعت دی ہے
— حیدر علی آتش
Ae sanam jis ne tujhe chand si soorat di haiUsi Allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai
Tegh-e-be-aab hai ne bazoo-e-qatil kamzorKuchh giran-jani hai kuchh maut ne fursat di hai
Is qadar kis ke liye ye jang-o-jadal ae gardoonNa nishaan mujh ko diya hai na to naubat di hai
Saanp ke kaate ki lahrein hain shab-o-roz aateinKakul-e-yaar ke saude ne aziyat di hai
Aayi ikseer ghani dil nahin rakhti aisaKhaksari nahin di hai mujhe daulat di hai
Shama ka apne fateela nahin kis raat jalaAmal-e-hubb ki bahut hum ne bhi dawat di hai
Jism ko zer-e-zameen bhi wahi pahuncha degaRooh ko jis ne falak-sair ki taaqat di hai
Furqat-e-yaar mein ro ro ke basar karta hoonZindagani mujhe kya di hai museebat di hai
Yaad-e-mahboob faramosh na howe ae dilHusn-e-niyat ne mujhe ishq se nemat di hai
Gosh paida kiye sunne ko tera zikr-e-jamalDekhne ko tere, aankhon mein basarat di hai
Lutf-e-dil-bastagi aashiq-e-shaida ko na poochhDo jahan se is aseeri ne faraghat di hai
Kamar-e-yaar ke mazmoon ko baandho Atish!Zulf-e-khooban si rasa tum ko tabiyat di hai