جاوداں قدروں کی شمعیں بجھ گئیں تو جل اٹھی تقدیر دلآج اس مٹی کے ہر ذی روح ذرے میں بھی ہے تصویر دل
اپنے دل کی راکھ چن کر کاش ان لمحوں کی بہتی آگ میںمیں بھی اک سیال شعلے کے ورق پر لکھ سکوں تفسیر دل
میں نہ سمجھا ورنہ ہنگاموں بھری دنیا میں اک آہٹ کے سنگکوئی تو تھا آج جس کا قہقہہ دل میں ہے دامن گیر دل
رت بدلتے ہی چمن چو ہم صفیر اب کے بھی کوسوں دور سےآ کے جب اس شاخ پر چہکے مرے دل میں بجی زنجیر دل
کیا سفر تھا بے صدا صدیوں کے پل کے اس طرف اس موڑ تکپے بہ پے ابھرا سنہری گرد سے اک نالۂ دلگیر دل
وار دنیا نے کئے مجھ پر تو امجدؔ میں نے اس گھمسان میںاپنا سینہ چیر کر رکھ دی نیام حرف میں شمشیر دل
— مجید امجد
Jāvedāñ qadron kī shama'ein bujh ga'iiñ to jal uṭhī taqdeer-e-dilAaj is miṭṭī ke har zī rūḥ zarre mein bhī hai tasveer-e-dil
Apne dil kī raakh chun kar kaash un lamhoñ kī bahtī aag meinMaiñ bhī ik sayyāl sho'le ke waraq par likh sakūñ tafseer-e-dil
Maiñ na samjhā varna hangāmoñ bharī duniyā mein ik āhaṭ ke sangKo'ī to thā aaj jis kā qahqaha dil mein hai dāman-geer-e-dil
Rut badalte hī chaman chuñ ham-safeer ab ke bhī kosoñ duur seAa ke jab is shāḳh par chahke mere dil mein bajī zañjeer-e-dil
Kyā safar thā be-sadā sadiyoñ ke pul ke us taraf us moṛ takPay ba pay ubhrā sunahrī gard se ik nāla-e-dilgeer-e-dil
Wār duniyā ne kiye mujh par to Amjad! maiñ ne is ghamsān meinApnā seena cheer kar rakh dī niyām harf mein shamshīr-e-dil