چمن میں گل نے جو کل دعوی جمال کیاجمال یار نے منہ اس کا خوب لال کیا
فلک نے آہ تری رہ میں ہم کو پیدا کربرنگ سبزۂ نورستہ پائمال کیا
رہی تھی دم کی کشاکش گلے میں کچھ باقیسو اس کی تیغ نے جھگڑا ہی انفصال کیا
مری اب آنکھیں نہیں کھلتیں ضعف سے ہمدمنہ کہہ کہ نیند میں ہے تو یہ کیا خیال کیا
بہار رفتہ پھر آئی ترے تماشے کوچمن کو یمن قدم نے ترے نہال کیا
جواب نامہ سیاہی کا اپنی ہے وہ زلفکسو نے حشر کو ہم سے اگر سوال کیا
لگا نہ دل کو کہیں کیا سنا نہیں تو نےجو کچھ کہ میرؔ کا اس عاشقی نے حال کیا
— میر تقی میر
Chaman meñ gul ne jo kal da'vā-e-jamāl kiyāJamāl-e-yār ne muñh us kā khūb lāl kiyā
Falak ne āh terī rah meñ hum ko paidā karBarang-e-sabza-e-naw-rasta pā'emāl kiyā
Rahī thī dam kī kashākash gale meñ kuchh bāqīSo us kī tegh ne jhagaṛā hī infisāl kiyā
Merī ab āñkheñ nahīñ khultīñ za'f se hamdamNa kah ke nīñd meñ hai tū yeh kyā khayāl kiyā
Bahār-e-rafta phir āī tere tamāshe koChaman ko yumn-e-qadam ne tere nihāl kiyā
Javāb-e-nāma-siyāhī kā apnī hai woh zulfKisū ne hashr ko hum se agar savāl kiyā
Lagā na dil ko kahīñ kyā sunā nahīñ tū neJo kuchh ke Mīr kā is āshiqī ne hāl kiyā