یہاں مضافات میں اس وقتٹھیک اس وقت
جب زمینی گھڑیاں صبح کے ساڑھے سات بجا رہی ہیںایک پہیہ بنایا جا رہا ہے
لکڑی کے تختوں کو گولائی دینا معمولی کام نہیںاپنے وسط سے باہر پھوٹتی ہوئی روشنی
عورت کے برہنہ جسم کے بعد یہ پہلا منظر ہےجس نے مجھے روک لیا ہے
اور میں بھول گیا ہوں کہ سیارے پر کوئی موسم بھی ہےاور میرا ایک نام بھی ہے
پہیوں کی ایک جوڑی دروازے سے لگی کھڑی ہےگاڑی بان آئے گا اور اسے لے جائے گا
گاڑی بان آئے گا اور یہ پھول لے جائے گا۔۔۔
— ثروت حسین
Yahan muzāfāt mein is waqtTheek is waqt
Jab zameeni ghadiyan subah ke saadhay saat baja rahi hainEk pahiya banaya ja raha hai
Lakdi ke takhton ko golaai dena mamooli kaam nahinApne wasat se baahar phoot'ti hui roshni
Aurat ke barahna jism ke baad yeh pehla manzar haiJis ne mujhe rok liya hai
Aur main bhool gaya hoon ke siyaarē par koi mausam bhi haiAur mera ek naam bhi hai
Pahiyon ki ek jodi darwaaze se lagi khadi haiGaadi baan aayega aur usay le jaayega
Gaadi baan aayega aur yeh phool le jaayega...