اجالا دے چراغ رہ گزر آساں نہیں ہوتاہمیشہ ہو ستارا ہم سفر آساں نہیں ہوتا
جو آنکھوں اوٹ ہے چہرہ اسی کو دیکھ کر جینایہ سوچا تھا کہ آساں ہے مگر آساں نہیں ہوتا
بڑے تاباں بڑے روشن ستارے ٹوٹ جاتے ہیںسحر کی راہ تکنا تا سحر آساں نہیں ہوتا
اندھیری کاسنی راتیں یہیں سے ہو کے گزریں گیجلا رکھنا کوئی داغ جگر آساں نہیں ہوتا
کسی درد آشنا لمحے کے نقش پا سجا لینااکیلے گھر کو کہنا اپنا گھر آساں نہیں ہوتا
جو ٹپکے کاسۂ دل میں تو عالم ہی بدل جائےوہ اک آنسو مگر اے چشم تر آساں نہیں ہوتا
گماں تو کیا یقیں بھی وسوسوں کی زد میں ہوتا ہےسمجھنا سنگ در کو سنگ در آساں نہیں ہوتا
نہ بہلاوا نہ سمجھوتا جدائی سی جدائی ہےاداؔ سوچو تو خوشبو کا سفر آساں نہیں ہوتا
— ادا جعفری
Ujaala de charaagh-e-reh-guzar aasaan nahin hotaHamesha ho sitara humsafar aasaan nahin hota
Jo aankhon oot hai chehra usi ko dekh kar jeenaYeh socha tha ke aasaan hai magar aasaan nahin hota
Bade taabaan bade roshan sitaare toot jaate hainSehar ki raah takna ta sehar aasaan nahin hota
Andheri kaasni raatein yahin se ho ke guzrengiJala rakhna koi daagh-e-jigar aasaan nahin hota
Kisi dard-ashna lamhe ke naqsh-e-pa saja lenaAkele ghar ko kehna apna ghar aasaan nahin hota
Jo tapke kaasah-e-dil mein toh aalam hi badal jaayeWoh ik aansu magar aye chashm-e-tar aasaan nahin hota
Gumaan toh kya yaqeen bhi waswason ki zad mein hota haiSamajhna sang-e-dar ko sang-e-dar aasaan nahin hota
Na behlaawa na samjhauta judai si judai haiAdaa socho toh khushboo ka safar aasaan nahin hota