وسیع شہر میں اک چیخ کیا سنائی دےبسوں کے شور میں ریلوں کی گڑگڑاہٹ میں
چہل پہل میں بھڑوں جیسی بھنبھناہٹ میںکسی کو پکڑو سر راہ مار دو چاہے
کسی عفیفہ کی عصمت اتار دو چاہے!وسیع شہر میں اک چیخ کیا سنائی دے!
عظیم شہر بڑے کاموں کے لیے ہیں میاںوزیر اعلی کی تقریر، لیڈروں کے جلوس
سیاستوں کے مظاہر، خلوص بہر خلوصیہ رت جگوں کی جگہ، ناؤ نوش کا گڑھ ہے
یہ تم سے کس نے کہا علم و ہوش کا گڑھ ہےابھی ابھی شہ قفقاز آئے ہیں دیکھو
معززین عروس البلاد سب مل کرسپاس نامہ انہیں اس طرح کریں گے پیش
کہ جیسے دل کی کلی پھول ہو گئی کھل کرپھر اس کے بعد کسی بینک کے بڑے کرتا
کوئی صفیر کسی دیش کے نئے مکھیامشیر صنعتی منصوبہ بندیوں کے لیے
جتن ثقافتی آئینہ سازیوں کے لیےبڑے پلان، بڑی یوجنا، بڑی باتیں
ضیافتیں، بڑے ہوٹل، بڑی بڑی گھاتیں!عظیم شہر بڑے کاموں کے لیے ہے میاں!
یہاں مزار ہیں ان کے بھی جن کے نام نہیںسنہری شہر کی تسخیر کرنے آئے تھے
انہیں شکم سے بہت دور آگے جانا تھاوہ اس جہان کی تعمیر کرنے آئے تھے!
بڑے دماغ تھے طباع تھے ذہین تھے سبمگر سیاست دنیا میں کم ترین تھے سب
عظیم شہر بڑے کاموں کے لیے ہیں میاںشکست دل کوئی راکٹ ہے جو دکھائی دے
عظیم شہر میں اک چیخ کیا سنائی دے!
— اخترالایمان
Vasī' shehar mein ik chīkh kyā sunāī deBuson ke shor mein, railoñ kī gaṛgaṛāhaṭ mein
Chahal pahal mein bhaṛoñ jaisī bhun-bhunāhaṭ meinKisī ko pakaṛo sar-e-rāh, mār do chāhe
Kisī afīfa kī ismat utār do chāhe!Vasī' shehar mein ik chīkh kyā sunāī de!
Azīm shehar baṛe kāmon ke li'e hain miyāñWazīr-e-a'alā kī taqrīr, līderon ke juloos
Siyāsatoñ ke mazāhir, khuloos ba-har khuloosYe ratjagoñ kī jagah, nao-nosh ka gaṛh hai
Ye tum se kis ne kahā ilm-o-hosh kā gaṛh haiAbhī abhī Shah Qafqāz āe hain, dekho
Mu'azzizīn-e-Arūs-ul-Bilād sab mil karSipās nāma inheñ is tarah kareñge pesh
Ke jaise dil kī kalī phool ho ga'ī khil karPhir us ke ba'ad kisī bank ke baṛe kartā
Koī safīr kisī desh ke naye mukhiyāMushīr san'atī mansūba bandiyoñ ke li'e
Jatan saqāftī ā'īn sāziyoñ ke li'eBaṛe plan, baṛī yojnā, baṛī bātein
Ziyāfateiñ, baṛe hotel, baṛī baṛī ghātein!Azīm shehar baṛe kāmon ke li'e hai miyāñ!
Yahāñ mazār hain un ke bhī jin ke nām nahīñSunahrī shehar kī taskhīr karne āe the
Inheñ shikam se bahut door āge jānā thāWo is jahān kī ta'amīr karne āe the!
Baṛe dimāgh the Tabbā' thī, zahīn the sabMagar siyāsat duniyā mein kam-tarīn the sab
Azīm shehar baṛe kāmon ke li'e hain miyāñShikast-e-dil koī rākat hai jo dikhāī de
Azīm shehar mein ik chīkh kyā sunāī de!