حسب نسب ہے نہ تاریخ و جائے پیدائشکہاں سے آیا تھا مذہب نہ ولدیت معلوم
مقامی چھوٹے سے خیراتی اسپتال میں وہکہیں سے لایا گیا تھا وہاں یہ ہے مرقوم
مریض راتوں کو چلاتا ہے ''مرے اندراسیر زخمی پرندہ ہے اک، نکالو اسے
گلو گرفتہ ہے یہ حبس دم ہے خائف ہےستم رسیدہ ہے مظلوم ہے بچا لو اسے''
مریض چیختا ہے درد سے کراہتا ہےیہ وتنام، کبھی ڈومنیکن، کبھی کشمیر
زر کثیر، سیہ قومیں، خام معدنیاتکثیف تیل کے چشمے، عوام، استحصال
زمیں کی موت بہائم، فضائی جنگ، ستماجارہ داری، سبک گام، دل ربا، اطفال
سرود و نغمہ، ادب، شعر، امن، بربادیجنازہ عشق کا، دف کی صدائیں، مردہ خیال
ترقی، علم کے گہوارے، روح کا مدفنخدا کا قتل، عیاں زیر ناف زہرہ جمال
تمام رات یہ بے ربط باتیں کرتا ہےمریض سخت پریشانی کا سبب ہے یہاں
غرض کہ جو تھا شکایت کا ایک دفتر تھانتیجہ یہ ہے اسی روز منتقل کرکے
اسے اک اور شفا خانے کو روانہ کیاسنا گیا ہے وہاں نفسیات کے ماہر
طبیب حاذق و نباض ڈاکٹر کتنےطلب کیے گئے اور سب نے اتفاق کیا
یہ کوئی ذہنی مرض ہے، مریض نے شایدکبھی پرندہ کوئی پالا ہوگا لیکن وہ
عدم توجہی یا اتفاق سے یونہیبچارہ مر گیا اس موت کا اثر ہے یہ
عجیب چیز ہے تحت شعور انساں کایہ اور کچھ نہیں احساس جرم ہے جس نے
دل و دماغ پہ قبضہ کیا ہے اس درجہمریض قاتل و مجرم سمجھتا ہے خود کو!
کسی کی رائے تھی پسماندہ قوم کا اک فردمریض ہوگا اسی واسطے سیہ قومیں
غریب کے لیے اک ٹیبو بن گئیں افسوسکوئی یہ کہتا تھا یہ اصل میں ہے حب وطن
مریض چاہتا تھا ہم کفیل ہوں اپنےکسی بھی قوم کے آگے نہ ہاتھ پھیلائیں
یہیں پہ تیل کے چشمے ہیں، وہ کریں دریافت!گمان کچھ کو تھا یہ شخص کوئی شاعر ہے
جو چاہتا تھا جہاں گردی میں گزارے وقتحسین عورتیں مائل ہوں لطف و عیش رہے
قلم کے زور سے شہرت ملے زمانے میںزر کثیر بھی ہاتھ آئے اس بہانے سے
مگر غریب کی سب کوششیں گئیں ناکامشکست پیہم و احساس نارسائی نے
یہ حال کر دیا مجروح ہوگئے اعصابغرض کہ نکتہ رسی میں گزر گیا سب وقت
وہ چیختا ہی رہا درد کی دوا نہ ملینشست بعد نشست اور معائنے شب و روز
انہیں میں وقت گزرتا گیا شفا نہ ملیپھر ایک شام وہاں سرمہ در گلو آئی
جو اس کے واسطے گویا طبیب حاذق تھیکسی نے پھر نہ سنی درد سے بھری آواز
کراہتا تھا جو خاموش ہو گیا وہ سازبرس گزر گئے اس واقعہ کو، ماضی کی
اندھیری گود نے کب کا چھپا لیا اس کومگر سنا ہے شفا خانے کے در و دیوار
وہ گرد و پیش جہاں سے کبھی وہ گزرا تھاخرابے بستیاں جنگل، اجاڑ راہ گزار
اسی کی چیخ کو دہرائے جا رہے ہیں ابھی''کوئی مداوا کرو ظالمو مرے اندر
اسیر زخمی پرندہ ہے اک نکالو اسےگلو گرفتہ ہے یہ حبس دم ہے خائف ہے
ستم رسیدہ ہے مظلوم ہے بچا لو اسے''
— اخترالایمان
Hasab nasab hai na tārīkh-o-jā-e-paidāishKahāñ se āyā thā mazhab na waladiyat ma'alūm
Maqāmī chhoṭe se khairātī aspātāl mein woKahīñ se lāyā gayā thā wahāñ ye hai marqoom
Marīz rāton ko chillātā hai "Mere andarAsīr zakhmi parinda hai ik, nikālo use
Gulū-girifta hai ye habs-e-dam hai, khāif haiSitam rasīda hai, mazlūm hai, bachā lo use"
Marīz chīkhtā hai dard se karāhtā haiYe Vietnam, kabhī Dominican, kabhī Kashmir
Zar-e-kasīr, siyah qaumein, khām ma'adniyātKasīf tel ke chashme, awām, istehsāl
Zamīn kī maut-e-bahā'im, fazā'ī jang, sitamIjāra-dārī, subuk-gām, dil-rubā, atfāl
Sarūd-o-naghma, adab, she'r, amn, barbādīJanāza-e-ishq kā, daf kī sadāeñ, murda khayāl
Taraqqī, ilm ke gahwāre, rūh kā madfanKhudā kā qatl, ayāñ zer-e-nāf-e-zuhra jamāl
Tamām raat ye be-rabt bātein kartā haiMarīz sakht pareshānī kā sabab hai yahāñ
Gharaz ke jo thā shikāyat kā ek daftar thāNatīja ye hai isī roz muntaqil kar ke
Use ik aur shifā-khāne ko rawāna kiyāSunā gayā hai wahāñ nafsiyāt ke māhir
Tabīb-e-hāziq-o-nabbāz Doctor kitneTalab kiye ga'e aur sab ne ittifāq kiyā
Ye koī zehnī marz hai, marīz ne shāyadKabhī parinda koī pālā hogā lekin wo
Adam tawajjohī yā ittifāq se yūnhīBichāra mar gayā, is maut kā asar hai ye
Ajīb chīz hai taht-e-sha'oor insān kāYe aur kuchh nahīñ, ehsās-e-jurm hai jis ne
Dil-o-dimāgh pe qabza kiyā hai is darjaMarīz qātil-o-mujrim samajhtā hai khud ko!
Kisī kī rā'e thī pasmānda qaum kā ik fardMarīz hogā isī wāste siyah qaumein
Gharīb ke li'e ik ṭebū ban ga'īñ, afsosKoī ye kahtā thā ye asl mein hai hubb-e-watan
Marīz chāhtā thā ham kafīl hoñ apneKisī bhī qaum ke āge na hāth phailāeñ
Yahīñ pe tel ke chashme hain, wo kareñ daryāft!Gumān kuchh ko thā ye shakhs koī shā'ir hai
Jo chāhtā thā jahān-gardī mein guzāre waqtHasīn aurtein mā'il hoñ, lutf-o-aish rahe
Qalam ke zor se shohrat mile zamāne meinZar-e-kasīr bhī hāth āe is bahāne se
Magar gharīb kī sab koshisheñ ga'īñ nākāmShikast-e-paiham-o-ehsās-e-nārasā'ī ne
Ye hāl kar diyā, majrūh ho ga'e a'asābGharaz ke nukta-rasī mein guzar gayā sab waqt
Wo chīkhtā hī rahā, dard kī davā na milīNishast ba'ad nishast aur mu'āyane shab-o-roz
Inhīñ mein waqt guzartā gayā, shifā na milīPhir ek shām wahāñ surma dar gulū āī
Jo us ke wāste goyā tabīb-e-hāziq thīKisī ne phir na sunī dard se bharī āwāz
Karāhtā thā jo khāmosh ho gayā wo sāzBaras guzar ga'e is wāqia ko, māzī kī
Andherī god ne kab kā chhupā liyā us koMagar sunā hai shifā-khāne ke dar-o-dīwār
Wo gard-o-pesh jahāñ se kabhī wo guzarā thāKharābe bastiyāñ jangal, ujāṛ rāh-guzār
Isī kī chīkh ko duhrāe jā rahe hain abhī"Koī mudāvā karo zālimo, mere andar
Asīr zakhmi parinda hai ik, nikālo useGulū-girifta hai ye habs-e-dam hai, khāif hai
Sitam rasīda hai, mazlūm hai, bachā lo use"