ہوائیں لے گئیں وہ خاک بھی اڑا کے جسےکبھی تمہارے قدم چھو گئے تھے اور میں نے
یہ جی سے چاہا تھا دامن میں باندھ لوں گا اسےسنا تھا میں نے کبھی یوں ہوا ہے دنیا میں
کہ آگ لینے گئے اور پیمبری پائیکبھی زمیں نے سمندر اگل دیے لیکن
بھنور ہی لے گئے کشتی بچا کے طوفاں سےمیں سوچتا ہوں پیمبر نہیں اگر نہ سہی
کہ اتنا بوجھ اٹھانے کی مجھ میں تاب نہ تھیمگر یہ کیوں نہ ہوا غم ملا تھا دوری کا
تو حوصلہ بھی ملا ہوتا سنگ و آہن سامگر خدا کو یہ سب سوچنے کا وقت کہاں؟
— اخترالایمان
Hawāeñ le gaīñ wo khāk bhī uṛā ke jiseKabhī tumhāre qadam chū ga'e the aur maiñ ne
Ye jī se chāhā thā dāman mein bāndh lūñgā useSunā thā maiñ ne kabhī yūñ huā hai duniyā mein
Ke āg lene ga'e aur payambari pāīKabhī zamīn ne samandar ugal diye lekin
Bhanwar hī le ga'e kashtī bachā ke tūfāñ seMaiñ sochta huuñ payambar nahīñ agar na sahī
Ke itnā bojh uṭhāne kī mujh mein tāb na thīMagar ye kyoñ na huā gham milā thā dūrī kā
To hausla bhī milā hotā sang-o-āhan sāMagar khudā ko ye sab sochne kā waqt kahāñ?