یہ درد زندگی کس کی امانت ہے کسے دے دوںکوئی وارث نہیں اس کا متاع رائیگاں ہے یہ
مسیحا اب نہ آئیں گے یہی نشتر رگ جاں میںخلش بنتا رہے گا میری سانسوں میں نہاں ہے یہ
خدایا ہم سے پہلے لوگ بھی جو اس زمیں پر تھےیونہی پامال ہوتے تھے، جو اس کے بعد آئیں گے
امید صبح کے خنجر سے زخمی ہو کے جائیں گے؟(کہاں جا کر رکے گا قافلہ ان سوگواروں کا)
یہ پھر بھی تیرے بندے ہیں تری ہی حمد گائیں گےانہیں آنکھیں تو دے دی ہیں بصارت بھی انہیں دے دے
تجھے سب ڈھونڈتے ہیں اس طرح اندھے ہیں سب جیسےاسی کورے ورق پر کچھ عبارت بھی انہیں دے دے
کھڑا ہے منہ کیے مشرق کی جانب، کوئی مغرب کیمری تصویر میں ان چیختے رنگوں کی ایسی کیا ضرورت تھی)
خدایا بخش دے ان بے گناہوں کے گناہوں کویہ معنی ڈھونڈتے ہیں کشمکش میں رات اور دن کی
حقیقت کو سمجھنا چاہتے ہیں سال اور سن کییہ سب مجبور ہیں ان پر در توبہ کھلا رکھنا
یہ دنیا خوف اور لالچ پہ جس کی نیو رکھی ہےاسی مٹی سے پھوٹے ہیں اسی دھرتی کے پالے ہیں
اجالا بھی یہی ہیں اس زمیں کا اور اندھیرا بھییہی شہکار ہیں تیرا یہی پاؤں کے چھالے ہیں
(یہ سب کے سب لباس فاخرہ میں میلی بھیڑیں ہیں)الہ العالمیں ان کی خطا سے در گزر کرنا
بہت معذور ہیں یہ خود نگر اپنی جبلت سےمقدر ان کا ہے شام و سحر کو روز سر کرنا
مساعی ان کی سیم و زر کے ڈھیروں میں بدل دیناترے پاس آئیں، موتی کے محل محنت کا پھل دینا
— اخترالایمان
Ye dard-e-zindagi kis kī amānat hai kise de doonKoī wāris nahīñ is kā, matā-e-rāygān hai ye
Masīhā ab na āeñge, yahī nishtar rag-e-jāñ meinKhalish bantā rahegā, merī sāñson mein nihāñ hai ye
Khudāyā, ham se pehle log bhī jo is zamīn par थेYūnhī pāmāl hote the, jo is ke ba'ad āeñge
Umīd-e-subah ke khanjar se zakhmi ho ke jāeñge?(Kahāñ jā kar rukegā qāfila un sogwāron ka)
Ye phir bhī tere bande hain, terī hī hamd gāeñgeInheñ āñkheñ to de dī haiñ, basārat bhī inheñ de de
Tujhe sab dhūñdte hain is tarah andhe hain sab jaiseIsī kore waraq par kuchh ibārat bhī inheñ de de
Khaṛā hai muñh kiye mashriq kī jānib, koī maghrib kīMerī tasvīr mein in chīkhte rangon kī aisī kyā zarūrat thī)
Khudāyā, bakhsh de in be-gunāhoñ ke gunāhoñ koYe ma'anī dhūñdte hain kashmakash mein raat aur din kī
Haqīqat ko samajhnā chāhte hain sāl aur sin kīYe sab majbūr hain, in par dar-e-tauba khulā rakhnā
Ye duniyā khauf aur lalach pe jis kī ñeev rakkhī haiIsī miṭṭī se phūṭe hain, isī dhartī ke pāle hain
Ujālā bhī yahī hain is zamīn kā aur andherā bhīYahī shahkār hain terā, yahī paaoñ ke chhāle hain
(Ye sab ke sab libās-e-fākhira mein mailī bheṛeñ hain)Ilāh al-Ālamīn, in kī khaṭā se dar-guzar karnā
Bahut ma'azoor hain ye khud-nagar apnī jibilat seMuqaddar in kā hai shām-o-sahar ko roz sar karnā
Masā'ī in kī sīm-o-zar ke ḍheron mein badal denāTere pās āeñ, motī ke mahal mehnat kā phal denā