زندگی ہونے کا دکھ سہنے میں ہےزور دریا کا فقط بہنے میں ہے
رک گئے تو دیکھنے آئیں گے لوگعافیت اب گھومتے رہنے میں ہے
کہہ رہے ہیں لوگ اس سے بات کرجیسے وہ ظالم مرے کہنے میں ہے
چھو لیا تھا درد کی زنجیر کووہ بھی اب شامل مرے کہنے میں ہے
عرشؔ وہ اپنی خدائی میں کہاںبات جو اس کو خدا کہنے میں ہے
— عرش صدیقی
Zindagi hone ka dukh sehne mein haiZor darya ka faqat behne mein hai
Ruk gaye to dekhne aayenge logAafiyat ab ghoomte rehne mein hai
Keh rahe hain log us se baat karJaise wo zalim mere kehne mein hai
Chhu liya tha dard ki zanjeer koWo bhi ab shamil mere kehne mein hai
Arshؔ wo apni khudai mein kahaanBaat jo us ko khuda kehne mein hai