برباد تمنا پہ عتاب اور زیادہہاں میری محبت کا جواب اور زیادہ
روئیں نہ ابھی اہل نظر حال پہ میرےہونا ہے ابھی مجھ کو خراب اور زیادہ
آوارہ و مجنوں ہی پہ موقوف نہیں کچھملنے ہیں ابھی مجھ کو خطاب اور زیادہ
اٹھیں گے ابھی اور بھی طوفاں مرے دل سےدیکھوں گا ابھی عشق کے خواب اور زیادہ
ٹپکے گا لہو اور مرے دیدۂ تر سےدھڑکے گا دل خانہ خراب اور زیادہ
ہوگی مری باتوں سے انہیں اور بھی حیرتآئے گا انہیں مجھ سے حجاب اور زیادہ
اسے مطرب بیباک کوئی اور بھی نغمہاے ساقیٔ فیاض شراب اور زیادہ
— اسرار الحق مجاز
Barbaad tamanna pe itaab aur ziyaadaHaan meri mohabbat ka jawaab aur ziyaada
Royein na abhi ahl-e-nazar haal pe mereHona hai abhi mujh ko kharaab aur ziyaada
Aawara o majnoon hi pe mauqoof nahin kuchhMilne hain abhi mujh ko khitaab aur ziyaada
Uthenge abhi aur bhi toofaan mere dil seDekhoonga abhi ishq ke khwaab aur ziyaada
Tapkega lahoo aur mere deeda-e-tar seDhadkega dil khana kharaab aur ziyaada
Hogi meri baaton se unhein aur bhi hairatAayega unhein mujh se hijaab aur ziyaada
Usay mutrib-e-beebaak koi aur bhi naghmaAye saqi-e-fayyaaz sharaab aur ziyaada