کچھ تو ہوا بھی سرد تھی کچھ تھا ترا خیال بھیدل کو خوشی کے ساتھ ساتھ ہوتا رہا ملال بھی
بات وہ آدھی رات کی رات وہ پورے چاند کیچاند بھی عین چیت کا اس پہ ترا جمال بھی
سب سے نظر بچا کے وہ مجھ کو کچھ ایسے دیکھتاایک دفعہ تو رک گئی گردش ماہ و سال بھی
دل تو چمک سکے گا کیا پھر بھی تراش کے دیکھ لیںشیشہ گران شہر کے ہاتھ کا یہ کمال بھی
اس کو نہ پا سکے تھے جب دل کا عجیب حال تھااب جو پلٹ کے دیکھیے بات تھی کچھ محال بھی
میری طلب تھا ایک شخص وہ جو نہیں ملا تو پھرہاتھ دعا سے یوں گرا بھول گیا سوال بھی
اس کی سخن طرازیاں میرے لیے بھی ڈھال تھیںاس کی ہنسی میں چھپ گیا اپنے غموں کا حال بھی
گاہ قریب شاہ رگ گاہ بعید وہم و خواباس کی رفاقتوں میں رات ہجر بھی تھا وصال بھی
اس کے ہی بازوؤں میں اور اس کو ہی سوچتے رہےجسم کی خواہشوں پہ تھے روح کے اور جال بھی
شام کی نا سمجھ ہوا پوچھ رہی ہے اک پتاموج ہوائے کوئے یار کچھ تو مرا خیال بھی
— پروین شاکر
Kuchh toh havā bhī sard thī kuchh thā terā ḳhayāl bhīDil ko khushī ke sāth sāth hotā rahā malāl bhī
Bāt voh ādhī rāt kī rāt voh poore chāñd kīChāñd bhī ain Chait kā us pe terā jamāl bhī
Sab se nazar bachā ke voh mujh ko kuchh aise dekhtāEk dafa toh ruk gaī gardish-e-māh-o-sāl bhī
Dil toh chamak sake gā kyā phir bhī tarāsh ke dekh leñShīsha-garāñ shehar ke haath kā yeh kamāl bhī
Us ko na pā sake the jab dil kā ajeeb hāl thāAb jo palaṭ ke dekhiye bāt thī kuchh muhāl bhī
Merī talab thā ek shaḳhs voh jo nahīñ milā toh phirHaath du'ā se yūñ girā bhūl gayā savāl bhī
Us kī suḳhan-tarāziyāñ mere liye bhī ḍhāl thīñUs kī hansī maiñ chhup gayā apne ghamoñ kā hāl bhī
Gāh qareeb-e-shāh-rag gāh ba'eed-e-vahm-o-ḳhvābUs kī rafāqatoñ maiñ rāt-e-hijr bhī thā visāl bhī
Us ke hī bāzu'oñ maiñ aur us ko hī sochte raheJism kī ḳhvāhishoñ pe the rūh ke aur jāl bhī
Shām kī nā-samajh havā pūchh rahī hai ek patāMauj-e-havā-e-kū-e-yār kuchh toh mirā ḳhayāl bhī