عجب نہیں کہ برس جائے ابر ، چھائے بغیررُلا بھی سکتا ہوں تجھ کو مَیں یاد آئے بغیر
کہانی سُنتے ہوئے لوگ راکھ ہوتے گئےالاؤ جلتا رہا لکڑیاں جلائے بغیر
وہ شخص بھی مجھے بالکل کہاں بدل پایا!نئی حویلی بنائی کھنڈر کو ڈھائے بغیر
کوئی اُداس مکاں تنگ پڑنے لگتا ہےسو اب گلی سے گُزرتا ہوں گنگنائے بغیر
یہ اب کُھلا کہ مَیں سایہ ہوں اور کُچھ بھی نہیںگزر گیا ہے وہ آخر، مجھے ہٹائے بغیر!
نہ جانے کس لیے رہ رہ کے ہاتھ مَلتا ہوں!کُچھ اور پائے بغیر اور کُچھ گنوائے بغیر
— سعید شارق
Ajab nahin ke baras jaaye abr, chhaye baghairRula bhi sakta hoon tujh ko main yaad aaye baghair
Kahani sunte hue log raakh hote gayeAlao jalta raha lakdiyan jalaaye baghair
Wo shakhs bhi mujhe bilkul kahan badal paaya!Nayi haweli banayi khandhar ko dhaaye baghair
Koi udaas makaan tang padne lagta haiSo ab gali se guzarta hoon gungunaye baghair
Ye ab khula ke main saaya hoon aur kuch bhi nahinGuzar gaya hai wo aakhir, mujhe hataaye baghair!
Na jaane kis liye reh reh ke haath malta hoon!Kuch aur paaye baghair aur kuch ganwaaye baghair