آنے میں جھجھک ملنے میں حیا تم اور کہیں ہم اور کہیںاب عہد وفا ٹوٹا کہ رہا تم اور کہیں ہم اور کہیں
بے آپ خوشی سے ایک ادھر کچھ کھویا ہوا سا ایک ادھرظاہر میں بہم باطن میں جدا تم اور کہیں ہم اور کہیں
آئے تو خوشامد سے آئے بیٹھے تو مروت سے بیٹھےملنا ہی یہ کیا جب دل نہ ملا تم اور کہیں ہم اور کہیں
وعدہ بھی کیا تو کی نہ وفا آتا ہے تمہیں چرکوں میں مزاچھوڑو بھی یہ ضد لطف اس میں ہے کیا تم اور کہیں ہم اور کہیں
برگشتہ نصیب کا یوں ہونا سونا بھی تو اک کروٹ سوناکب تک یہ جدائی کا رونا تم اور کہیں ہم اور کہیں
دل ملنے پہ بھی پہلو نہ ملا دشمن تو بغل ہی میں ہے چھپاقاتل ہے محبت کی یہ حیا تم اور کہیں ہم اور کہیں
یکسوئی دل مرغوب ہمیں بربادئ دل مطلوب تمہیںاس ضد کا ہے اور انجام ہی کیا تم اور کہیں ہم اور کہیں
دل سے ہے اگر قائم رشتہ تو دور و قریب کی بحث ہی کیاہے یہ بھی نگاہوں کا دھوکا تم اور کہیں ہم اور کہیں
سن رکھو قبل عہد وفا قول آرزوئے شیدائی کاجنت بھی ہے دوزخ گر یہ ہوا تم اور کہیں ہم اور کہیں
— آرزو لکھنوی
Aane mein jhijhak milne mein haya tum aur kahin hum aur kahinAb ahd-e-wafa TooTa ke raha tum aur kahin hum aur kahin
Be aap khushi se ek idhar kuch khoya hua sa ek idharZahir mein baham baatin mein juda tum aur kahin hum aur kahin
Aaye to khushamad se aaye baiThe to murawwat se baiTheMilna hi ye kya jab dil na mila tum aur kahin hum aur kahin
Waada bhi kiya to ki na wafa aata hai tumhein chirkon mein mazaChhoRo bhi ye zid lutf is mein hai kya tum aur kahin hum aur kahin
Bargashta naseeb ka yun hona sona bhi to ek karwat sonaKab tak ye judai ka rona tum aur kahin hum aur kahin
Dil milne pe bhi pahlu na mila dushman to baghal hi mein hai chhupaQaatil hai mohabbat ki ye haya tum aur kahin hum aur kahin
Yeksoi-e-dil marghoob hamein barbadi-e-dil matloob tumheinIs zid ka hai aur anjaam hi kya tum aur kahin hum aur kahin
Dil se hai agar qaem rishta to door-o-qareeb ki bahs hi kyaHai ye bhi nigahon ka dhoka tum aur kahin hum aur kahin
Sun rakho qabl-e-ahd-e-wafa qaul-e-Aarzoo-e-shaidai kaJannat bhi hai dozakh gar ye hua tum aur kahin hum aur kahin