قربت بڑھا بڑھا کر بے خود بنا رہے ہیںمیں دور ہٹ رہا ہوں وہ پاس آ رہے ہیں
اعجاز پاک بازی حیرت میں لا رہے ہیںدل مل گیا ہے دل سے پہلو جدا رہے ہیں
وہ دل سے غم بھلا کر دل کو لبھا رہے ہیںگزرے ہوئے زمانے پھر پھر کے آ رہے ہیں
سینے میں ضبط غم سے چھالا ابھر رہا ہےشعلے کو بند کر کے پانی بنا رہے ہیں
معنی نہ پوچھ ظالم اس عذر بے گنہ کےاپنے کو اول دے کر تجھ کو بچا رہے ہیں
اے بے خودی کہاں ہے جلدی مری خبر لےبھولے تھے جو بہ مشکل پھر یاد آ رہے ہیں
لیں کام ضبط سے کیا الٹا ہے دل کا پھوڑااتنا ابھر رہا ہے جتنا دبا رہے ہیں
فرقت میں ساز راحت ساماں عذاب کا ہےٹھنڈی ہوا کے جھونکے کیا جی جلا رہے ہیں
ہیں حسن کے کرشمے کیا انقلاب آگیںغم خوار جو تھے کل تک اب خار کھا رہے ہیں
خود ان کی جستجو میں ہم دور بھاگے ورنہوہ کب الگ رہے ہیں وہ کب جدا رہے ہیں
لے لے کے ٹھنڈی سانسیں پوچھو نہ حال دیکھوتم بھید کھولتے ہو اور ہم چھپا رہے ہیں
دیکھ آرزوؔ یہ رونا شانہ ہلا ہلا کرتو آج خواب میں ہے اور وہ جگا رہے ہیں
— آرزو لکھنوی
Qurbat baṛhā baṛhā kar be-khud banā rahe hainMain door haṭ rahā huun wo paas ā rahe hain
I'jāz-e-pāk bāzī hairat mein lā rahe hainDil mil gayā hai dil se pahlu judā rahe hain
Wo dil se gham bhulā kar dil ko lubhā rahe hainGuzre hue zamāne phir phir ke ā rahe hain
Seene mein zabt-e-gham se chhālā ubhar rahā haiSho'le ko band kar ke pānī banā rahe hain
Ma'nī na poochh zālim is uzr-e-be-gunah keApne ko awwal de kar tujh ko bachā rahe hain
Aye be-khudī kahān hai jaldi mirī khabar leBhule the jo ba-mushkil phir yaad ā rahe hain
Len kaam zabt se kyā ulṭā hai dil ka phoṛāItnā ubhar rahā hai jitnā dabā rahe hain
Furqat mein sāz-e-rāhat sāmān-e-azāb kā haiṬhanḍī hawā ke jhonke kyā jī jalā rahe hain
Hain husn ke karishme kyā inqalāb-āgīnGham-khwār jo the kal tak ab khār khā rahe hain
Khud un kī justujoo mein ham door bhāge warnaWo kab alag rahe hain wo kab judā rahe hain
Le le ke ṭhanḍī sānsen pūchho na hāl dekhoTum bhed kholte ho aur ham chhupā rahe hain
Dekh Aarzoo ye ronā shāna hilā hilā karTu aaj khwāb mein hai aur wo jagā rahe hain