فصل گل کچھ بھی نہیں باد صبا کچھ بھی نہیںتیری محفل ہو تو جنت کی فضا کچھ بھی نہیں
جان و دل کر دیے ہم نے تری راہوں میں نثاراور ہمارے لیے تہمت کے سوا کچھ بھی نہیں
پکڑے جائیں گے ہمیں حشر میں بے جرم و قصوراور گنہ گار کو دنیا میں سزا کچھ بھی نہیں
ان کے دل پر مرا احساس ستم بھی ہے گراںغیر کی شعلہ بیانی کا گلا کچھ بھی نہیں
جام جم ہو کہیں گردش میں مگر پھر بھی حیاتؔچشم ساقی سے نہ چھلکے تو مزا کچھ بھی نہیں
— مسعودہ حیات
Fasl-e-gul kuch bhi nahin baad-e-saba kuch bhi nahinTeri mehfil ho to jannat ki fiza kuch bhi nahin
Jaan-o-dil kar diye hum ne teri raahon mein nisarAur hamare liye tuhmat ke siwa kuch bhi nahin
PakRe jayenge humein hashr mein be-jurm-o-qusoorAur gunaah-gar ko duniya mein saza kuch bhi nahin
In ke dil par mera ehsaas-e-sitam bhi hai garanGhair ki shola-bayani ka gila kuch bhi nahin
Jaam-e-jam ho kahin gardish mein magar phir bhi Hayaat!Chashm-e-saaqi se na chhalke to maza kuch bhi nahin